Wednesday, October 31, 2012

Kismat aisi thi ki aaj hum akele reh gaye



Kismat aisi thi ki aaj hum akele reh gaye
judai ke aasu aankho se beh gaye
rote huye koun chup karayega hume
jo chup karate the wahi rone ko keh gaye



Paas aakar sbhi door chale jaate hain



Paas aakar sbhi door chale jaate hain
Hum akele the akele hi reh jaate hain
Dil ka dard kise dikhaayein
Marham lagaane waale hi zakhm de jaate hain


Monday, October 29, 2012

Mujhe shayad kisi apne kee talash hai



 Main udass rasta hoon sham ka,
mujhe aahatoon ki talash hai.
ye sitare hain sab bujhe bjhe,
mujhe jugnoo ki talash hay.
har khushi hay mujh say khafa khafa,
mujhe zindagi ki talash hai.
ek hoojom sa hay laga hua,
mujhe dostoon ki talash hai.
mere zindzgi hay ek rasta
mujhe manziloon ki talash hai.
na jane kiya hay jo kho gaya,
mujhe shayad kisi apne kee talash hai... 


Bahut udaas hai koi tere jaane se



Bahut udaas hai koi tere jaane se
Ho sake to laut aa kisi bahane se
Tu lakh khafa sahi per ek baar to dekh
Koi toot sa gaya tere rooth jane se


Thursday, October 25, 2012

suna suna lamha lamha meri raahe tanha tanha

 

suna suna lamha lamha meri raahe tanha tanha aakar mujhe tum tham lo, manjil teri dekhe rasta mud ke jara abb dekh lo, aisa milan phir ho na ho sab kuchh meraa tum hee toh ho bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja o bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja suna suna lamha lamha, meree raahe tanha tanha

 

 

Bichhde bhee ham jo kabhee raasto me, toh sang sang rahungee sada kadmo kee aawaj sun ke chalungee, tumhe dhund lungee sada bhulee mohabbat kee yeh khushbuye hain, hawaon me phailee huyee chhu kar mujhe aaj mahsus kar lo, woh yade meree unchhuyee aisa milan phir ho na ho, sab kuchh meraa tum hee toh ho bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja o bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja suna suna lamha lamha, meree raahe tanha tanha

 

 

vaado ke dhago me ham tum bandhe hain, jara dor tum tham lo baaho mai aise pighal jane do mujhko, aise meraa nam lo mai woh shama hu jo roshan tumhe karke, khud toh pighal jaungee subah ka suraj tumhare liye hai, mai hu rat dhal jaungee aisa milan phir ho na ho, sab kuchh meraa tum hee toh ho bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja o bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja suna suna lamha lamha, meree raahe tanha tanha

 

 

Mud ke jara abb dekh lo, aisa milan phir ho na ho sab kuchh meraa tum hee toh ho bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja o bapanah pyar hai aaja, teraa intejar hai aaja suna suna lamha lamha, meree raahe tanha tanha

 

 

Thursday, October 18, 2012

Na Kr Gila Mere Behte Asuo Ka



Na Kr Gila Mere Behte Asuo Ka

Is Dil Ko Sabhi Ne Rulaya Hai

Na Dhundo Mere Dil Ki Kitab Me Khushi Ka Panna

Har Panna Mere apno ne jalaya hai...<3<3


Saturday, October 13, 2012

Wo Jo Har Bat Main Hamdard Bana Karty Thy



Wo Jo Har Bat Main Hamdard Bana Karty Thy...<3<3
Dard Un Hi Ne Dia To Bohat Ajeeb Laga.....<3<3


Itni Jaldi Kya Hai Mujhe Chodne Ki,



Itni Jaldi Kya Hai Mujhe Chodne Ki,
Abhi To Had Baki Hai Mujhe Todne Ki,
Main Khilona Hun Gum Na Kar Mere Tootne Ka,
Mil Jayega Naya Zarorat Nahi Mujhe Jodne Ki...♥♥


Fursatain milain jab B Ranjishain Bhula dena




"Fursatain milain jab B Ranjishain Bhula dena,,,

Kon jaane saanson Ki mohlatein Kahan tak hain..."


♥ Dil se likhi baatein dil ko chhu jaati hai ♥




♥ Dil se likhi baatein dil ko chhu jaati hai ♥
♥ Aksar aankhein hi har baat keh jaati hai ♥
♥ Kuch log pyaar ke mayne badalte hai ♥
♥ Aur kuch logo ke pyaar se duniya hi badal jaati hai ♥ 


Nadan Hai Kitna Woh Kuch Smajta Hi Nhi




Seene Se Laga K Poochta Hai K Dharkane Taizz Kyun Hain...

Saturday, October 6, 2012

Thursday, October 4, 2012

Maut Milti Hai Na Zindagi Milti Hai



Maut Milti Hai Na Zindagi Milti Hai
Zindagi Ki Raho Mein Bebasi Milti Hai
Rula Dete Hain Kyu Mere Apne
Jab Bhi Mujhe Koi Khushi Milti Hai…<3<3


Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara



Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara
Tanhai Meri Mehfil Aur Yaadein Mera Sahara
Unse Bichad Kar Kuch Yun Waqt Guzra
Kabhi Zindagi Ko Tarse Kabhi Maut Ko Pukara...<3<3


Kaise Kahe Ki Zindagi Kya Deti Hai



Kaise Kahe Ki Zindagi Kya Deti Hai
Har Kadam Pe Ye Daga Deti Hai
Jinki Jaan Se Bhi Jyada Keemat Ho Dil Mein
Unhi Se Door Rehne Ki Saja Deti Hai...<3<3


Wednesday, October 3, 2012

Ishq Ke Imtihaan Ki Ghadi Aa Gyi



Ishq Ke Imtihaan Ki Ghadi Aa Gyi
Tujhse Bichhadne Ki Ghadi Aa Gyi
Wafa Ke Naam Par Joi Kiye The Vaade
Sab Bhoolakar Hamaari Judaai Aa Gyi
Mehfil Mein Hamara Naam Jab Pukara Gya
Jaane Kyun Aankhon Mein Numi Aa Gyi
Sataaya Gaya Mujhe Auron Ke Naam Lekar
Ya Khuda Yeh Kaisi Rusvaai Aa Gyi
Ranjjishon Ko Bhulaakr Maine Unhe Pukara
Jaane Kyun Unhe Meri Is Baat Par Hansi Aa Gyi
Ummeed Jo Ki Maine Ke Milenge Unse Ab Aakhri Baar
Jaane Kahan Se Meri Kismat Mein Bus Tanhaai Aa Gyi
Duniya Mein Hum Na Mile To Koi Gum Nahi Hai Mujhe
Milenge Us Jahaan Mein Yeh Baat Sukoon Pahuncha Gyi
Na Rahe Is Duniya Mein Pyar Ke Liye Koi Bhi Pyaasa
Aye Mere Khuda Yeh Pyaase Ki Dua Par Tujhe 
Kyun Hansi Aa Gyi...!!!

Monday, October 1, 2012

Dil k dard ko chupana kitna mushkil hai

Dil k dard ko chupana kitna mushkil hai,
Toot k phir muskrana kitna mushkil hai,
Door tak jab chalo kisi k sath tu phir,
Tanha laut k Aana kitna mushkil hai…